24/06/2020

Warning Nahi Dunga Lyrics - Blank | Sunny Deol,Karan Kapadia,Ishita| Amit Mishra,Enbee,Raghav,Kumaar

Lyricsworld37 is a searchable lyrics database featuring 1000000+ song lyrics from 20000 artists. Use Lyricsworld37 to find your favorite song





Warning Nahi Dunga Lyrics – Blank

Sher ke panje mein tu toh phansa hai
Bachne ka koi nahi rasta hai
Tu bekhabar hai yeh tujhko bata doon
Mujhse yaha pe, na koi bacha hai
Na dekhega tu kal ki subah
Maang le tu akhri baar duaa
Jaan le lunga…
Beta! Warning nahi dunga!

Warning nahi dunga
Dekh beta baj gaya siren
Aaya hai tyfoon ye baat kar do viral
Dhai kilo panch, ya goli from my rifle
Jo bhi chahe bol tera settlement aaj final
FINAL!

Pyaar se jo keh raha hoon warning samajh le
Chance ye jo de raha hoon warning samajh le
Ek taraf life teri dusri taraf mera trigger
Ab shuruaat teri karna jo kar le

Court mein mere taarikh nahi milti
Criminal ko maara case close not guilty
Yehi mera style aur kuch na kahunga
Ab ready rahiyo beta
Warning nahi dunga!

Sher ke panje mein tu toh phansa hai
Bachne ka koi nahi rasta hai
Tu bekhabar hai ye tujhko bata doon
Mujhse yaha pe na koi bacha hai
Na dekhega tu kal ki subah
Maang le tu akhri baar duaa
Jaan le lunga…
Beta! Warning nahi dunga!

Warning nahi dunga
Warning nahi dunga

Beta! Warning nahi dunga!
.............................................................................
Singer: Amit Mishra
Music: Raghab Sacha
Lyricist: Kumaar
Movie: Blank

Ali Ali Lyrics – Blank | Akshay Kumar | Arko feat. B Praak | Sunny Deol & Karan Kapadia

Lyricsworld37 is a searchable lyrics database featuring 1000000+ song lyrics from 20000 artists. Use Lyricsworld37 to find your favorite song



Ali Ali Lyrics – Blank


Ali…
Ho.. Ali, ali ali
Ho.. Ali, ali ali
Allah malik tu malik
Tu de deedar de de

Ho.. Ali mera wali
Allah malik tu malik
Tu de deedar de de

Jagi re shohrate manzile
Sab hai mitti tere dar tale
Koi sab kuch mita ke mitte
Koi khud ko jala kar jale
Yeh fizul nahi hai
Jo kahte hai, malik Allah hai..

Ho.. Ali, ali ali
Allah malik tu malik
Tu de deedar de de
Ho.. Ali mera wali
Allah malik tu malik
Tu de deedar de de

Ali ali, ali ali
Ali ali, ali ali.. (x2)

Jahan mein woh hi tanha hai
Jo tujhse bichhda hai
Yakinan tu rehnuma
Tu raasta sab ka hai
Yeh fizul nahi hai
Jo kahte hai, malik Allah hai..

Ho.. Ali, ali ali
Allah malik tu malik
Tu de deedar de de
Ho.. Ali mera wali
Allah malik tu malik
Tu de deedar de de

Marhawa apni marzi se hum
Unki aagosh mein rehte hai
Bakhuda ab to sab log bhi
Hame malang kahte hai
Yeh fizul nahi hai
Jo kahte hai, malik Allah hai..

Ho.. Ali, ali ali
Allah malik tu malik
Tu de deedar de de
Ho.. Ali mera wali
Allah malik tu malik
Tu de deedar de de

Ho.. Ali, ali ali
Allah malik tu malik
Tu de deedar de de (x2)

..............................................................................
Singer: B Praak & Arko
Music: Arko
Lyricist: Arko & Adeip Singh
Movie: Blank

Tujhme Hai Aag Baki Lyrics – Blank | Sunny Deol, Karan Kapadia, Ishita Dutta | Arko , Sonal , Raghav

Lyricsworld37 is a searchable lyrics database featuring 1000000+ song lyrics from 20000 artists. Use Lyricsworld37 to find your favorite song


Tujhme Hai Aag Baki Lyrics – Blank


Hausle thake nahi
Ummeedein bhi bujhi nahi
Raat guzri, Aayegi
Phir subah ek nayi..
Har nazar ye kah rahi
Kyun nabi ye saah rahi

Junoon sar chada le
Bahe khud bana le
Tujhme hai aag baki
(Hai aag baki)

Tu ambar jhuka de
Zameen ko hila de
Tujhme hai aag baaki
(Hai aag baki)

Zindagi se phir nayi
Ek mulakat hai
Dard ke kisse nahi
Muskano ki baat hai

Har guzarte lamhe ko
Bharosa ab yahi
Khushiyon ke mausam ko
Tera ghar pata hai sahi…

Intezar hoga khatam
Bhar jayenge saare zakham
Samay khud banega marham

Intezar hoga khatam
Bhar jayenge saare zakham
Samay khud banega marham

Junoon sar chada le
Bahe khud bana le
Tujhme hai aag baki
(Hai aag baki)

Tu ambar jhuka de
Zameen ko hila de
Tujhme hai aag baaki
(Hai aag baki)

............................................................................
Singer: Romy 
Music: Sonal Pradhaan
Lyricist: Sonal Pradhaan
Movie: Blank

Akela Lyrics – India’s Most Wanted | Arjun Kapoor | Amit Trivedi |Amitabh Bhattacharya| Abhijeet Srivastava Rajesh Sharma, Prashanth Alexander, Shantilal Mukherjee

Lyricsworld37 is a searchable lyrics database featuring 1000000+ song lyrics from 20000 artists. Use Lyricsworld37 to find your favorite song




Akela Lyrics – India’s Most Wanted

Saath tera na koi de agar
Naam tera na koi le agar
Akela hai toh kya
Akela bhi hai tu kafi, kaafi!

Haar jaane ki tujhe kyun fikar
Haar jaane se pehle na mukar
Akela hai toh kya
Akela bhi hai tu kafi, kaafi!

Himmat juta
Karega Khuda
Madad teri
Tu karta ja farz ada

Ho ho!
Oho, oho, oho

Ho sooraj abhi tak dooba nahi
Ladne se tu bhi ooba nahi
Ghutne na teke, aas teri
Jab tak hai saans teri

Kar darr ko tu apne dafan
Baand sar pe tu apne kafan
Akela hai toh kya
Akela bhi hai tu kafi, kaafi

Haar jaane ki tujhe kyun fikar
Haar jaane se pehle na mukar
Akela hai toh kya
Akela bhi hai tu kafi, kaafi

Himmat juta
Karega Khuda
Madad teri
Tu karta ja farz ada

Ho ho!

Tu karta ja farz ada!
....................................................................................
Singer: Abhijeet Srivastava
Music: Amit Trivedi
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Movie: India's Most Wanted

Vande Mataram Lyrics- India's Most Wanted Arjun Kapoor| Papon|Altamash| Amit Trivedi| Amitabh Bhattacharya Arjun Kapoor Rajesh Sharma, Prashanth Alexander, Shantilal Mukherjee, Devendra Mishra

Lyricsworld37 is a searchable lyrics database featuring 1000000+ song lyrics from 20000 artists. Use Lyricsworld37 to find your favorite song




Vande Mataram Lyrics – India’s Most Wanted

Aaa…
Jooton ke pheete baandh kar
Kandhon par baste laad kar
Tukdi hum beparwah ki
Chal padne ko taiyaar hai

Katti hai apni neend se
Zimmedari se pyar hai
Marne se na katraate hain
Dar jaane se inkaar hai

Vande Mataram, Vande Mataram
Khaayi hai teri hifazat ki kasam
Vande Mataram, Vande Mataram
Dekhein kitna tere dushman mein hai dum

Na koi shabashi, na koi taali
Duty pe katti hai
Eid aur Diwali

Jokham lene ke badle milti hai
Ghar pe roothi roothi si gharwali, gharwali..

Gharwali ka dil tod kar
Grihasti peechhe chhod kar
Paltan hum aise bazon ki
Phir udne ko taiyaar hai

Vande Mataram, Vande Mataram
Khaayi hai teri hifazat ki kasam
Vande Mataram, Vande Mataram
Dekhein kitna tere dushman mein hai dum

Oho…

Vande… Vande Mataram
.........................................................................................
Singer: Papon & Altamash Faridi
Music: Amit Trivedi
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Movie: India's Most Wanted

23/06/2020

Shuru Karein Kya Lyrics - Article 15 | Ayushmann Khurrana, Isha Talwar, Sayani Gupta, Kumud Mishra and Manoj Pahwa SlowCheeta, Dee MC,Kaam Bhaari,Spitfir

Lyricsworld37 is a searchable lyrics database featuring 1000000+ song lyrics from 20000 artists. Use Lyricsworld37 to find your favorite song



Shuru Karein Kya Lyrics – Article 15 


Baatein bahut hui
Kaam shuru karein kya
Kal kya karega
Aaj shuru karein kya
Yeh desh apne haath
Kuch baaton se hoga na
Tu khud hi hai naayak
Toh shuru karein kya

Baatein bahut hui
Kaam shuru karein kya
Kal kya karega
Aaj shuru karein kya
Yeh desh apne haath
Kuch baaton se hoga na
Tu khud hi hai naayak
Toh shuru karein kya

[Slow Cheetah]
Shuruaat se hi seekhte ghalat hai
Garam hai hum sab pe
Par khud mein jo dum hai woh kum hai kya
Tere andar ki zameen aaj numm hai kya
Doosron pe bhonkhe
Tujhe khud pe sharam hai kya
Gareebon pe atyachar
Bachchiyon ka balatkar
Naa rokega naa toh
Na hoga aisa koi chamatkar
Ungli uthate par awaz toh uthao
Note sab chhape sale izzat kamao
Batti tum jalaate khali kadam badhate
Apne andar ke andhere mein woh batti ko jalaao

[Spitfire]
Stop si udaan kyun
Samaaj bana chilman sa
Salat kar jo lathpath
Tu puchta hai jaat unka
Tarkash mein mazhab ye
Jab tak tarazu ke
Peedhi ki maut hogi
Ghar sad kar hai shanka
Ainak awaam ka hai safe nahi devi
Haan sadkon pe darr ke kyun kaanp rahi
Saanp bani chhati pe dahshat dharam ki
Tu khud hai maseeha ye aankhein kyun num si
Saanp bani chhati pe dahshat dharam ki
Tu khud hai maseeha ye aankhein kyun num si

Baatein bahut hui
Kaam shuru karein kya
Kal kya karega
Aaj shuru karein kya
Yeh desh apne haath
Kuch baaton se hoga na
Tu khud hi hai naayak
Toh shuru karein kya

Baatein bahut hui
Kaam shuru karein kya
Kal kya karega
Aaj shuru karein kya
Yeh desh apne haath
Kuch baaton se hoga na
Tu khud hi hai naayak
Toh shuru karein kya

[Kaam Bhaari]
Tu bhai musalman ka toh
Kaai ko ladte jaat pe
Insaniyat hai gumshuda
Aur psycho hum halaat se
Aur apne logo ko toh chahiye jaati ka waar
Haathi ka daant
Tu bol mujhko kidhar gayab insaaf
Tabhi to milega jabhi tu
Apne haq ko bolna shuru karega
Sach ko kholna sab ke baare mein sochna
Ab tu nahi darega
Ameer ke thaali mein roti hai chaar
Fakeer nahi hai mila masaz
Sab theek hai tera toh badha vyapaar
Kamzor pe aise na daal dabaav

[Dee MC]
Chalo shuru se karein haal kyun behaal hai
Aise toh azadi ko huve sattar saal hain
Hum azaad na phir bhi
Kabhi sunte na khud ki
Ghar baithe sochenge masle ki tarqeeb
Kadam le aage toh peeche ye kheenche
Tu zyada sach ugle toh dharti ke neeche
Ab neeche hi rehna
Himmat se sehna
Woh maare wo peete
Tu kuch bhi na kehna
Har jaati se choti yahaan aurat ki jaat
Dede jeevan ki dor kisi aur ke haath
Yahan pran jaaye par maan na jaaye
Daulat ki lalach hadakti duaayein

Baatein bahut hui
Kaam shuru karein kya
Kal kya karega
Aaj shuru karein kya
Yeh desh apne haath
Kuch baaton se hoga na
Tu khud hi hai naayak
Toh shuru karein kya

Baatein bahut hui
Kaam shuru karein kya
Kal kya karega
Aaj shuru karein kya
Yeh desh apne haath
Kuch baaton se hoga na
Tu khud hi hai naayak
Toh shuru karein kya

Shuru Karein Kya….
....................................................................................................
Singer: Slow Cheeta , Dee MC, Kaam Bhaari & Spitfire
Music: Devin "DLP" Parker & Gingger
Lyricist: Slow Cheeta , Dee MC, Kaam Bhaari & Spitfire
Movie: Article 15


Naina Yeh Lyrics - Article 15 | Ayushmann Khurrana , Isha Talwar | Yasser Desai & Aakanksha |Piyush Shankar,Rashmi Viraj

Lyricsworld37 is a searchable lyrics database featuring 1000000+ song lyrics from 20000 artists. Use Lyricsworld37 to find your favorite song



Naina Yeh Lyrics – Article 15

Kaash aisa ho kabhi yun hi tumse milun
Dher saari raat bhar baatein tumse karun
Meri neendon se hai karte mujhko juda
Saaware se, baaware se do naina yeh
Saaware se, baaware se do naina yeh

Naina yeh, Naina yeh
Naina yeh, Naina yeh

Bhaage hai ye kahan
Dhoondhe hai ye kise
Mann mera yeh pagal ho gaya

Nahi hai tu jahaan ruke ye na wahan
Yeh to jaise badal ho gaya

Neeche aayega ye, palke kholo zara
Saaware se, baaware se do naina yeh
Saaware se, baaware se do naina yeh

Naina yeh, Naina yeh
Naina yeh, Naina yeh

Peechhe peechhe tere
Chale khwaab mere
Main toh teri parchai si hoon

Sooni raaton mein bhi payega tu mujhe
Main toh teri tanhai si hoon
Khamoshi se meri baatein karte hai yeh


Naina yeh
Saaware se, baaware se do naina yeh
Naina yeh, Naina yeh
Naina yeh, Naina yeh

.........................................................................................
Singer: Yasser Sharma & Aakanksha Sharma
Music: Piyush Shankar
Lyricist: Rashmi Virag
Movie: Article 15

Intezari Lyrics – Article 15 | Ayushmann Khurrana | Armaan Malik | Anurag Saikia | Shakeel Azmi Isha Talwar, Sayani Gupta, Kumud Mishra and Manoj Pahwa

Lyricsworld37 is a searchable lyrics database featuring 1000000+ song lyrics from 20000 artists. Use Lyricsworld37 to find your favorite song


Intezari Lyrics – Article 15


Aa na aa bhi jaa na
Intezari hai teri
Le ja jo rishton ki
Rezgaari hai teri
Woh jo hum roye saath the
Bheege din aur raat the
Khaare khaare paani ki
Kahani woh leja na

Aa na..
Aa bhi jaa na intezari hai teri
Le ja jo rishton ki rezgaari hai teri

Daant kaate, sang baante
Khatte meethe ka maza hai
Zabaan pe ab bhi taaza sathiya
Chand dekha tha jo humne
Chaar aankhon se kabhi
Kaise dekhun usko tanha sathiya

Daant kaate, sang baante
Khatte meethe ka maza hai
Zabaan pe ab bhi taaza sathiya
Chand dekha tha jo humne
Chaar aankhon se kabhi
Kaise dekhun usko tanha sathiya

Ho..
Kabhi yunhi takna tujhe
Yunhi dekhna
Kabhi baithe baithe yunhi
Tujhe sochna
Wo pal qaraar ke
Woh jo the lamhe pyaar ke
Unhe mere khwabon se
Khayalon se le jaa na

Aa na..
Aa bhi jaa na intezari hai teri
Le ja jo rishton ki rezgaari hai teri

Kabhi roothna woh tera
Kisi baat par
Kabhi hanske taali dena
Mere haath pe
Thode shikve kuch gile
Woh jo the apne silsile
Toote huve vaade woh
Iraade woh le jaa na

Aa na..
Aa bhi jaa na intezari hai teri
Le ja jo rishton ki rezgaari hai teri

Daant kaate, sang baante
Khatte meethe ka mazaa hai
Zubaan pe ab bhi taaza sathiya
Chand dekha tha jo humne
Chaar aankhon se kabhi
Kaise dekhun usko tanha sathiya

Daant kaate, sang baante
Khatte meethe ka mazaa hai
Zubaan pe ab bhi taaza sathiya
Chand dekha tha jo humne
Chaar aankhon se kabhi
Kaise dekhun usko tanha sathiya

...........................................................................................
Singer: Armaan Malik
Music: Anuraj Saikia
Lyricist: Shakeel Azmi
Movie: Article 15

Jugraafiya Lyrics – Super 30 | Hrithik Roshan Mrunal Thakur|Udit Narayan Shreya Ghoshal|Ajay Atul|Amitabh Bhattacharya

Lyricsworld37 is a searchable lyrics database featuring 1000000+ song lyrics from 20000 artists. Use Lyricsworld37 to find your favorite song



Jugraafiya Lyrics – Super 30


Jab se hua tere nazdeek hai
Dil ke mohalle mein sab thik hai (x2)

Zara sa kitabon mein kam dhyan hai
Jyada tere khayalon mein hai
Tujhse jo milke maza hai
Kahan woh ganit ke sawalon mein hai

Karke gustakhiyan
Maange na maafiyan
Teri chahat ne badla mere
Dil ka Jugraafiya… (x2)

Cycle par leke jaunga
Samose garam khilaunga
Main kar vaada shanivaar ko
Bhagwan ke bharose
Chhod ke samose
Bhool jayein somvaar ko

Tere liye ghar se nikalti hoon
Jab kehta hai milti hoon
Ghar waalon se chhup ke tujhe
Parwah nahi hai meri
Zyadati hai teri
Kya samajh rakha hai pyaar ko…

Tujhe kis tarah bataun main
Kitna zaroori tera pyar hai
Mere andhiyare se jivan mein
Tu hi safedi ki chamkar hai

Karke gustakhiyan
Maange na maafiyan
Teri chahat ne badla mere
Dil ka Jugrafia

Jag ko main genius lagta hoon
Chehra yeh serious rakhta hoon
Andar se dil-phenk hoon
Maana hoon chhote ghar ka
Jeb se hoon kadka
Ladka main bada hi nek hoon..

Tere chehre pe saare marte hain
Baaqi ladke bhi vaade karte hain
Lekin nibhate nahi
Mauke pe kaam aaye
Vaada joh nibhaye
Eklauta main hi ek hoon…

Mat ghabrana muhurat hamare
Milan ka nikat hai piya
Bas ek googly se papa ka
Tujhko girana wicket hai piya..

Karke gustakhiyan
Mange na maafiyan
Teri chahat ne badla mere
Dil ka Jugraafiya

..........................................................................................
Singer: Udit Narayan & Shreya Ghoshal
Music: Ajay-Atul
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Movie: Super 30

Paisa Lyrics – Super 30| Hrithik Roshan & Mrunal Thakur | Vishal Dadlani | Ajay Atul |Amitabh Bhatta

Lyricsworld37 is a searchable lyrics database featuring 1000000+ song lyrics from 20000 artists. Use Lyricsworld37 to find your favorite song


Paisa Lyrics – Super 30


Teri zindagi ko
Zindagi banane aaya paisa
Berangi duniya ko
Rageen banane aaya paisa
Andhere kamron mein
Batti jalane aaya paisa
Sapne tere sachche karke
Dikhane aaya paisa

Din tere bhi jeene ka aaya hai
Jo chaaha tha, tune woh paaya hai
Sab paison ki leela hai, maya hai
Patjhad ka bhi mausam laa de sawan jaisa

Zindagi ko
Zindagi banane aaya paisa
Be-rangi duniya ko
Rageen banane aaya paisa
Andhere kamron mein
Batti jalane aaya paisa
Sapne tere sachche karke
Dikhane aaya paisa

Jo tere shauk hain
Shauk se aaj poore kar le sabhi
Baaki na reh jaaye kuch kasar
Aage ka tera lamba hai safar
Yahan se nahi dekhega
Tu peechhe mudke kabhi

Jo kabhi bin padhe
Phad ke phenkta tha arzi teri
Zamana badla hai woh brother
Karega abse teri kadar
Poori na sahi aadhi toh maanega marzi teri

Gham tere tu peechhe chhod aaya hai
Aur muskurana tujhe aaya hai
Sab paison ki leela hai, maya hai
12 ko bhi dekho laage 52 jaisa

Tere jeevan ke
Chakke ghumane aaya paisa
Teri bekaari ke
Chhakke chhudane aaya paisa
Andhere kamron mein
Batti jalane aaya paisa
Sapne tere sachche karke
Dikhane aaya paisa

...............................................................................................
Singer: Vishal Dadlani
Music: Ajay-Atul
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Movie: Super 30